|
duniyaa, o duniyaa, teraa jawaab nahee
teree jafaaon kaa, bas koee hisaab nahee
too chhaanw hain yaa hain dhoop khabar kis ko
kyaa hain teraa asalee rup khabar kis ko
aaye najar kaise, too aansoo hain khwaab nahee
teree jubaan pe hai, jikr sitaaron kaa
tere labon pe hai, naam bahaaron kaa
par tere daaman me, kaante hain gulaab nahee
ye kin khayaalon me, kho gaye hain aap
kyo kuchh pareshaan se, ho gaye hain aap
aap se to muz ko, kuchh shikawaa janaab nahee
|