|
jeenaa yahaa, maranaa yahaa, is ke siwaa jaanaa kahaa
jee chaahe jab hum ko aawaaj do, hum hain wahee hum the jahaa
apane yahee dono jahaan, is ke siwaa jaanaa kahaa
ye meraa geet jeewan sangeet kal bhee koee doharayegaa
jag ko hasaane baharupeeyaan, rup badal fir aayegaa
swarga yahee, narak yahaa, is ke siwaa jaanaa kahaa
kal khel mein hum ho naa ho, gardish mein taare rahenge sadaa
bhoologe tum bhoolenge wo, par hum tumhaare rahenge sadaa
rahenge yahee apane nishaan, is ke siwaa jaanaa kahaa
|