|
jab ziro diyaa mere bhaarat ne, duniyaan ko tab ginatee aayee
taaron kee bhaashaa bhaarat ne, duniyaan ko pahale sikhalaayee
detaa naa dashamal bhaarat to, yoo chaand pe jaanaa mushkil thaa
dharaatee aaur chaand dooree kaa andaajaa lagaanaa mushkil thaa
sabhyataa jahaa pahaale aayee, pahale janamee hain jahaape kalaa
apanaa bhaarat wo bhaarat hai, jis ke pichhe sansaar chalaa
sansaar chalaa aaur aage badhaa, yoo aage badhaa, badhataa hee gayaa
bhagawaan kare ye aaur badhe, badhataa hee rahe aaur foole fale
hai pareet jahaa kee reet sadaa, main geet wahaa ke gaataa hoo
bhaarat kaa rahane waalaa hoo, bhaarat kee baat sunaataa hoo
kaale gore kaa bhed nahee, har dil se humaaraa naataa hai
kuchh aaur naa aataa ho hum ko, humei pyaar nibhaanaa aataa hai
jise maan chookee saaree duniyaa, main baat wahee doharataa hoo
bhaarat kaa rahane waalaa hoo, bhaarat kee baat sunaataa hoo
jeete ho kisee ne desh to kyaa, hum ne to dilon ko jeetaa hai
jahaa raam abhee tak hain nar me, naaree mein abhee tak seetaa hai
kitane paawan hain log jahaa, main neet neet sheesh zookaataa hoo
bhaarat kaa rahane waalaa hoo, bhaarat kee baat sunaataa hoo
itanee mamataa nadiyon ko bhee, jahaa maataa kah ke bulaate hai
itanaa aadar insaan to kyaa, patthar bhee pooje jaate hai
us dharatee pe maine janam liyaa, ye soch ke main itaraataa hoo
bhaarat kaa rahane waalaa hoo, bhaarat kee baat sunaataa hoo
|