gaItakar
gaayak
saMgaItakar
ica~apaT
gaIta

marazI
 


 
Lyrics in Hindi Saahir Ludhiyanvi Asha Bhosle - Mukesh Khayyam Phir Subah Hogi (1958) 
gaIta saaihr lauiQayaanavaI AaSaa _ maukoSa Kayyaama ifr saubah haogaI 


wo subah kabhee to aayegee, wo subah kabhee to aayegee
in kaalee sadiyon ke sar se, jab raat kaa aanchal dhalakegaa
jab dukh ke baadal pighalenge, jab sukh kaa saagar chhalakegaa
jab anbar zoom ke naachegaa, jab dharatee nagmei gaayegee
wo subah kabhee to aayegee

jis subah kee khaatir jug jug se, hum sab mar mar kar jite hain
jis subah ke amariat kee boond mein, hum jahar ke pyaale pite hain
in bhookhee pyaasee ruhon par, yek din to karam faramaayegee
wo subah kabhee to aayegee

maanaa ke abhee tere mere aramaanon kee kimat kuchh bhee naheen
mittee kaa bhee hain kuchh mol magar, insaanon kee kimat kuchh bhee naheen
insaanon kee ijjat jab zoothhen sikkon mein naa tolee jaayegee
wo subah kabhee to aayegee